Tuesday, February 8, 2011

CHAPTER-2


KHOFNAK JUNGLE

Babaji ne bacho ki taraf dekha sabhi bache utsuk the sant hokar ek tak lgaye unki aur dekh rhe the. Babaji nai apni aankhe band karin aur kisi sadhu baba ki tarah dhyan magan ho gye unki aankhon kai aage puri kahani kai chitr ghumne lage. Aur unhone bolna suru kiya………

Ye kahani suru hoti hai ek lokgeet se jo pahad mai bhut lokpriy hai ‘ber pako baramasa’ aur ishe kuch log gun guna rhe hain jo apne janwaron ko chara charane duur -2 laker jate hain aur ye log bhi ‘Chatturgadh’ kai hi niwasi hain.

Chatturgadh ek chota sa gaun jo charo aur se ghira hai unchi-2 pahadiyon aur ped podho se charo aur hariyali yahan kai log sahar ke rang dhang sai achute the aur apna pet bharne kai liye kheti par hi apni aankhen gdaye rekhte the. Par dikat tab aati thi jb kisi karn vash un logon ki kheti barbaad ho jati thi aur aisa hone ke kai karan the pahadon par hone kai karan sari kheti barsat par nirbhar hoti thi barsaat na hone par sb chopat, jungli janvar kai baar sari fasal barbaad kar dete the.

Yahi sb wajah thi jo gaun kai logo ko sahar jane ko uksati thi par wo jate nhi the kyun? Aisa nhi tha ki wahan kai log sahar si sahuliyat nhi chahte the ya apni musibton se chutkara nhi pana chahte the par sbse bda karn tha wo jungle jish se hokar sahar ko rasta jata tha. Logo ka maan na tha ki ush jungle mai bhut khatarnak jungli janvar hai aur aaj tak jisne bhi sahar jane ki jid ki wo kabhi lot kar wapas nhi aaya aur koi nhi janta tha ki aakhir wo jungle hai kitna lamba.

Suhana din tha suraj apni chamak bikher rha tha. Gaun kai sbhi log apne apne kaam mai lge the tabhi……….."

arey in bacho ne to jina haram kar rakha hai jb dekho bs setani hi karte rehte hai aur kuch kaam nhi inkaShyamu kaka gaun kai bacho par gusse se chila rhe the kyunki kuch bache unke bagh se fal todkar bhag gye the.

Itne mai whan Bhagtu aa gya wo Shyamu kaka ka ek lotaa ladka tha wo bola “arey pitaji jane do na bache hi to hai inhi sai to gaun mai ronak rehti hai

arey ronak nhi beta tujhe nhi pta hum to chah kar bhi inhe kuch nhi bol sakteShyamu kaka gusse sai lal hokar chila rhe the.

Bhagtu thoda khij kar bola “Pita ji aap fir Suraj ko laker preshan ho rhe hai

Thodi der chup hokar wo haste hue bola jaise ki usne aane wala kal bhamp liya ho“dekhna ek din uski yhi adbhut shakti gaun kai bda kaam aayegi

Akhir aesi kya baat thi aesi kya takat thi suraj mai ki pura us se ghabrata tha. Yhi baat jan ne ki kosis kar rhe the uske jigri dost Sundri aur Bholu…..

To be Cont...

CHAPTER-1


EK GAUN OR BABAJI

Kahani hai ek Gaun ki jo sahar se bhi aadhunik tha par wahan rehne wale log aaj bhi khud ko gaun ka hi mante the. Sari sahuliyat to sahar se bhi badhkar thi par iss gaun ki khasiyat thi iske charo aur ka vatavaran sundar-2 unchi pahadiyan charo aur se chidh kai pedon sai ghira hona jahan dur-2 tak gadiyon ka shor- saraba nhi tha charo aur hariyali pake majboot makaan pakee sadken sahar tak jane ki majboot sadak lekin uss sadak ka istamaal naa kae brabar hota tha.

Ussi guan mai ek budha aadmi rehta tha lambi chodi kad kathi badi-2 dadi muchen, lambe baal, wo hamesha safed rang ka kurta paijama, chamde ki chappal aur ek saul odhe rakhta tha. Sara gaun unhe Babaji kehkar pukarta tha. Roj shaam 6 bje sare gaun kai bache unse (Babaji) kahani sun ne bagh mai aate the bhale Babaji ki tabiyat kitni bhi kharab ho ya unhe koi bhi aur jaruri kaam ho par wo roj shaam apne waqt par bagh mai pahunch jate the. Aur sirf bache hi nhi kai bujurg log bhi unki kahaniyon ka aanand lete the.

Lekin aaj na jane kya baat hui Babaji abhi tak nhi aaye the kaphi der ho chuki thi sbhi bache beshabri se unka intajaar kar rhe the Aur kuch bujurg log bacho ko samjha rhe the

Arey bacho chinta mat karo wo aate hi honge tum log apna khel jari rakho

tabhi dur unhe Babaji aate dikhai diye “lo wo aa gye tumhare Babaji apni kahaniyon ka pitara laker.” Aur sabhi bache sant ho kar apni-2 jagah beth gye jaise ki kuch thaan rakhi ho man mai…..

Babaji kaphi thake se lag rhe the unke chehre kai bhavon se lagta tha mano wo kuch soch rhe hai or preshan bhi hain wo aakar roj ki taraj bagh mai lgi kurshi par beth gye or bole “Kaise ho bacho” unki aawaj mai kuch alag si baat thi jo sbko apni aur khichti thi

sbhi bache ek sath bol pade “namaste Babaji aaj aapko aane mai der kyun ho gyi haan thodi der ho gyi kuch kaam mai phas gya tha ye btao aaj kon si kahani sunoge” Babaji bacho se bole

tabhi Narayan bola jo ki sabhi bacho mai sabse samajhdaar tha “aaj hum wo kahani sunenge jo aap hamesha shi waqt aane par sunaunga bolkar taal jate hain Aur sbhi bache uski baat par sehmat kai sath “haan haan whi kahani” kehkar chilane lage..

Babaji bole “thik hai thik hai sant ho jao aaj shi waqt aa gya hai jo tum sun na chahte ho whi kahani sununga aakhir kaise humara gaun sehar se behtar ho gya.”……

To be Cont....